yahi hai ishq ki sar do magar duhai na do
wafur-e-jazb se TuTu magar sunai na do
zamin se ek talluq hai na-guzir magar
jo ho sake to ise rang-e-ashnai na do
ye daur wo hai ki baiThe raho charagh-tale
sabhi ko bazm mein dekho magar dikhai na do
shahanshahi bhi jo dil ke ewaz mile to na lo
faraaz-e-koh ke badle bhi ye tarai na do
jawab-e-tohmat-e-ahl-e-zamana mein 'KHurshid'
yahi bahut hai ki lab si rakho safai na do
Ghazal
Yahi hai ishq ki sar do magar duhai na do
Khursheed Rizvi