yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-KHair
mere sabhi rufqa-e-kiram ishq ba-KHair
dayar-e-hijr ki suni udas galiyon mein
pukarta hai koi subh-o-sham ishq ba-KHair
main kar raha tha dua ki guzarishen us se
so kah gai hai udasi ki sham ishq ba-KHair
baDe ajib hain shahr-e-junun ke bashinde
hamesha kahte hain baad-az-salam ishq ba-KHair
ye rah zarur tumhaare hi ghar ko jati hai
likha hua hai yahan gam gam ishq ba-KHair
bayan ki hai ghazal-war dastan-e-ishq
so is kitab ka rakkha hai nam ishq ba-KHair
ufuq ke par mujhe yaad kar raha hai koi
abhi mila hai udhar se payam-e-ishq ba-KHair
Ghazal
Yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-KHair
Rehman Faris