yahi chinar yahi jhil ka kinara tha
yahin kisi ne mere sath din guzara tha
nazar mein naqsh hai subh-e-safar ki virani
bas ek main tha aur ek subh ka sitara tha
mere KHilaf gawahi mein pesh pesh raha
wo shaKHs jis ne mujhe jurm par ubhaara tha
KHiraj deta chala aa raha hun aaj talak
main ek roz zamane se jang haara tha
mujhe KHud apni nahin us ki fikr lahaq hai
bichhaDne wala bhi mujh sa hi be-sahaara tha
zamin ke kaam agar meri dastaras mein nahin
to phir zamin pe mujhe kis liye utara tha
main jal ke rakh hua jis alao mein 'amir'
wo ibtida mein sulagta hua sharara tha
Ghazal
Yahi chinar yahi jhil ka kinara tha
Maqbool Aamir