yahi be-laus mohabbat yahi gham-KHwari-e-KHalq
aur meraj kise kahte hain insanon ki
nam hai kya isi hangame ka aaghaz-e-shabab
ek aandhi si chali aati hai armanon ki
jis qadar ishq se hoti hai fuzun wusat-e-fikr
aql rakhti hai binaen nae zindanon ki
apni maut apni tabahi ki taraf kya dekhen
ki nigahen taraf-e-shama hain parwanon ki
ho gai umr bahaaron ke tasawwur mein tamam
sair karte rahe na-did gulistanon ki
ma-siwa is ke nahin aur kuchh afsana-e-hind
ek tariKH hai ujDe hue kashanon ki
Ghazal
Yahi be-laus mohabbat yahi gham-KHwari-e-KHalq
Nihal Sevharvi