yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga
magar aaj ka tasawwur yahan kal haram hoga
main kuchh is tarah jiya hun ki yaqin ho gaya hai
mere baad zindagi ka baDa ehtiram hoga
meri zist ek janaza hai jo rah-e-waqt mein hai
jo thakenge din ke kandhe to supurd-e-sham hoga
yahi hadsat-e-gham hain to ye Dar hai jine walo
koi din mein zindagi ka koi aur nam hoga
Ghazal
Yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga
Waseem Barelvi