yahi bas ek dua mangna nahin aata
wafa ke badle wafa mangna nahin aata
hamara kaam mohabbat se pesh aana hai
kisi ka nam pata mangna nahin aata
daricha khol diya hai ghuTan se bachne ko
magar zaban se hawa mangna nahin aata
kahin mile to ye kahna mere masiha se
mariz-e-gham ko dawa mangna nahin aata
ye KHamushi koi tufan zarur laegi
gharib chup hain to kya mangna nahin aata
zaruraton ke siwa bhi zarur milta magar
zaruraton se siwa mangna nahin aata
hazar bar kaha dil se mang le kuchh to
yahi jawab mila mangna nahin aata
hamesha KHair ke talib hain hum hamein 'alam'
tilism-e-hosh-ruba mangna nahin aata
Ghazal
Yahi bas ek dua mangna nahin aata
Seen Sheen Alam