yahan wahan kuchh lafz hain mere nazmen ghazlen teri hain
rang dhanak ye mahka baadal sab taswiren teri hain
tanha rahun ya bhiD se guzrun tanha main kab hota hun
yun lagta hai jaise musalsal mujh pe nigahen teri hain
tanha sahil KHwab gharaunda aas jazira mera hai
nila baadal sat samundar panch zaminen teri hain
husn-e-jaanan ishq ka jadu raqs-o-masti dard ki lai
is mahfil ki jalti bujhti sari shamen teri hain
do hisson mein baTi hai kaise ye duniya yun jaana hai
KHwab hain jitne sab mere hain sab tabiren teri hain

Ghazal
Yahan wahan kuchh lafz hain mere nazMein ghazlen teri hain
Saleem Muhiuddin