اردو हिंदी
Yahan wahan ki bulandi mein shan thoDi hai | Shaahi Shayari
yahan wahan ki bulandi mein shan thoDi hai

Ghazal

Yahan wahan ki bulandi mein shan thoDi hai

Shuja Khaavar

;

yahan wahan ki bulandi mein shan thoDi hai
pahaD kuchh bhi sahi aasman thoDi hai

mere wajud se kam teri jaan thoDi hai
fasad tere mere darmiyan thoDi hai

mile bina koi rut hum se ja nahin sakti
hamare sar pe koi saeban thoDi hai

ye waqia hai ki dushman se mil gae hain dost
mera bayan barae bayan thoDi hai

karam hai mujh pe kisi aur ke jalane ko
wo shaKHs mujh pe koi mehrban thoDi hai

wo ham-KHayal hai uslub us ka jo bhi ho
raqib hi to hai changez KHan thoDi hai

'shuja' shairi hoti hai zat ke bal par
meri kumak pe koi KHandan thoDi hai