اردو हिंदी
Yahan tak kaam aaya jazba-e-zabt-e-fughan apna | Shaahi Shayari
yahan tak kaam aaya jazba-e-zabt-e-fughan apna

Ghazal

Yahan tak kaam aaya jazba-e-zabt-e-fughan apna

Shola Kararvi

;

yahan tak kaam aaya jazba-e-zabt-e-fughan apna
khaDe dekha kiye jalte hue hum aashiyan apna

haqiqat mein wahi hai hasil-e-umr-e-rawan apna
jise sab maut kahte hain wo hai KHwab-e-giran apna

bahut kuchh ho chuka tai jada-e-umr-e-rawan apna
pahunch jaega manzil par kisi din karwan apna

jahan mein maut ne ulTi naqab-e-zindagi jis dam
yaqin se KHud badalna hi paDa aaKHir guman apna

yahin kisht-e-tamanna hai yahin hai mazra-e-uqba
isi do din ki duniya mein hai sara imtihan apna

nahin jab koi dhabba daman-e-aslaf pe apne
to phir achchhe se achchha kyun na hoga dud-man apna

nishan-e-qabr bhi DhunDhe se ab milta nahin 'shoala'
miTa hai safha-e-hasti se yun nam-o-nishan apna