اردو हिंदी
Yahan se hai kahani raat wali | Shaahi Shayari
yahan se hai kahani raat wali

Ghazal

Yahan se hai kahani raat wali

Khalid Mahmood

;

yahan se hai kahani raat wali
ki wo ek raat thi barsat wali

kaha tha jo wahi kar ke dikhaya
wo barq-e-be-aman thi baat wali

baDi lambi planning kar rahi hai
hamari zindagi lamhat wali

kisi ki bhi nahin hoti ye duniya
ki is ki zat hai bad-zat wali

hamara hausla hai zindagi se
laDe jate hain kushti mat wali

na ab ghar mein wo tahzibi tawazun
na ab wo koThari jinnat wali

jise dekho chhupa phirta hai 'KHalid'
jamaat aa gai mewat wali