yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko
magar kya ho gaya hun aur kya hona tha mujh ko
abhi ek lahar thi jis ko guzarna tha saron se
abhi ek lafz tha mein aur ada hona tha mujh ko
phir us ko DhunDne mein umr sari bit jati
koi apni hi gum-gashta sada hona tha mujh ko
pasand aaya kisi ko mera aandhi ban ke uThna
kisi ki rae mein baad-e-saba hona tha mujh ko
wahan se bhi guzar aaya hun KHamoshi mein ab ke
jahan ek shor ki surat bapa hona tha mujh ko
dar-o-diwar se itni mohabbat kis ke liye thi
agar is qaid KHane se riha hona tha mujh ko
main apni rakh se be-shak dobara sar uThata
magar ek bar to jal kar fana hona tha mujh ko
main andar se kahin tabdil hona chahta tha
purani kenchuli mein hi naya hona tha mujh ko
'zafar' main ho gaya kuchh aur warna asl mein to
bura hona tha mujh ko ya bhala hona tha mujh ko
Ghazal
Yahan sab se alag sab se juda hona tha mujhko
Zafar Iqbal