yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin
so ghaTa zara bhi hua hi nahin
ragon tak mein KHushbu teri jazb ki
hawa pe bharosa kiya hi nahin
mere dil ki haalat jo thi wo rahi
ye pauda shajar to hua hi nahin
wo kya majra tha khula hi nahin
nishane pe patthar laga hi nahin
kahani diye ki bahut KHub hai
magar is mein zikr-e-hawa hi nahin
jawabon ke chehron pe hain uljhanen
sawalon ka ab tak pata hi nahin
safar ka main aaghaz kaise karun
mere haq mein koi dua hi nahin
Ghazal
Yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin
Nishant Shrivastava Nayab