اردو हिंदी
Yahan mausam bhi badlen to nazare ek jaise hain | Shaahi Shayari
yahan mausam bhi badlen to nazare ek jaise hain

Ghazal

Yahan mausam bhi badlen to nazare ek jaise hain

Akhtar Amaan

;

yahan mausam bhi badlen to nazare ek jaise hain
hamare roz-o-shab sare ke sare ek jaise hain

hamein har aane wala zaKHm-e-taza de ke jata hai
hamare chand suraj aur sitare ek jaise hain

KHudaya tere dam se apna ghar ab tak salamat hai
wagarna dost aur dushman hamare ek jaise hain

kahin gar farq niklega to bas shiddat ka kuchh warna
yahan par gham hamare aur tumhaare ek jaise hain

main kis ummid pe daman kisi ka tham lun 'aKHtar'
ki sab se dosti mein ab KHasare ek jaise hain