yahan kya hai wahan kya hai idhar kya hai udhar kya hai
koi samjhe to kya samjhe wo nairang-e-nazar kya hai
na ho jis sar mein sauda sarfaroshi ka wo sar kya hai
na phunke KHirman-e-hasti to wo soz-e-jigar kya hai
tere andaz ke bismil hain hum hum se koi puchhe
teri banki ada kya hai teri tirchhi nazar kya hai
jahan saman wahshat ke use wahshat-sara kahiye
jahan asbab-e-virani wo virana hai ghar kya hai
gae wo aur ye kahte gae o jazb-e-dil wale
mujhe bhi dekhna hai jazba-e-dil ka asar kya hai
Ghazal
Yahan kya hai wahan kya hai idhar kya hai udhar kya hai
Mubarak Azimabadi

