اردو हिंदी
Yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha | Shaahi Shayari
yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha

Ghazal

Yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha

Noor Bijnauri

;

yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha
tabhi ye gham-kada-e-dil bhi jagmagaya tha

junun ki shoKH adaon ne fash kar hi diya
wo ek raaz KHirad ne jise chhupaya tha

shab-e-bahaar ki shahzadiyo! KHabar hai tumhein
abhi abhi koi nashad muskuraya tha

sulag rahi hain umangen to sochta hun main
bahut hi KHushk teri zulfon ka narm saya tha

ye mahtab se kis ne mujhe sada di thi
ye kaun dur se mere qarib aaya tha