yahan kisi ko bhi kuchh hasb-e-arzu na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
ghazal-e-ashk sar-e-subh dub-e-mizhgan par
kab aankh apni khuli aur lahu lahu na mila
chamakte chand bhi the shahr-e-shab ke aiwan mein
nigar-e-gham sa magar koi shama-ru na mila
unhi ki ramz chali hai gali gali mein yahan
jinhen udhar se kabhi izn-e-guftugu na mila
phir aaj mai-kada-e-dil se lauT aae hain
phir aaj hum ko Thikane ka ham-sabu na mila
Ghazal
Yahan kisi ko bhi kuchh hasb-e-arzu na mila
Zafar Iqbal