yahan kise hansne ki fursat rakkhi hai
ek se nimTo dusri aafat rakkhi hai
har jaanib ek khel hai aapa-dhapi ka
manzar manzar kaisi wahshat rakkhi hai
sochun to bazar bhi chhoTa lagta hai
ghar ke andar itni zarurat rakkhi hai
tere dil ko pyar se mala-mal kare
phul ke andar jis ne nikhat rakkhi hai
ek ke dukh mein sare roya karte hain
ghar mein abhi ajdad ki daulat rakkhi hai
Ghazal
Yahan kise hansne ki fursat rakkhi hai
Parvez akhtar