yahan ki fikr wahan ka KHayal rakkha hai
akele donon jahan ko sambhaal rakkha hai
siyah gesu ko shanon pe Dal rakkha hai
bala ka sanp sapere ne pal rakkha hai
mujhe to hashr ke wade pe Tal rakkha hai
ajal ka nam badal kar visal rakkha hai
ye din ke dosh pe bikhri hain sham ki zulfen
ki ek machhere ke kandhe pe jal rakkha hai
jis aaftab ko samjhe the sab ki Dub gaya
use gilass mein rindon ne Dhaal rakkha hai
ye kaun aisi pari hai ki jis ko rindon ne
zamin se ta-ba-surayya uchhaal rakkha hai
hamari tauba ka KHun hai ki baada-e-rangin
ye jam jam mein kya lal lal rakkha hai
zamana deta hai mujh ko zawal ki dhamki
na jaane kaun sa mujh mein kamal rakkha hai
'nazir' mar ke chukana paDega qarz-e-hayat
nahin gar aaj to kal intiqal rakkha hai
Ghazal
Yahan ki fikr wahan ka KHayal rakkha hai
Nazeer Banarasi