yahan ke rang baDe dil-pazir hue hain
dayar-e-ishq ke hakim faqir hote hain
har ek dil mein to ye barchhiyan utarti nahin
koi koi to nazar ke asir hote hain
hujum-e-bul-hawasi ke ghane andheron mein
kuchh aise gham bhi hain jo dast-gir hote hain
har aise-waise se qufl-e-qafas nahin khulta
is imtihan ke liye kuchh haqir hote hain
tumhaare shahr mein kis ko hai jaan dene ka shauq
magar wahan bhi jo sahab-zamir hote hain
Ghazal
Yahan ke rang baDe dil-pazir hue hain
Ain Tabish