yahan ke log hain bas apne hi KHayal mein gum
koi uruj mein gum hai koi zawal mein gum
nisab-e-ishq mein hijr-o-visal ek se hain
hai mere hijr ka rishta tere visal mein gum
ye ek nazara alag hai sabhi nazaron se
meri nazar ka tasalsul tere jamal mein gum
ye nazuki mere sheron ki be-sabab to nahin
ki meri fikr-e-suKHan hai isi ghazal mein gum
tumhein ho kaise KHabar KHud mujhe nahin malum
main kis jawab mein gum hun main kis sawal mein gum
bacha hai kaun yahan waqt ke thapeDon se
hai meri umr-e-gurezan bhi mah-o-sal mein gum
ye shahr-e-KHud-nigaran hai nikal chalo 'tariq'
har ek shaKHs hai apne hi KHadd-o-KHal mein gum
Ghazal
Yahan ke log hain bas apne hi KHayal mein gum
Tariq Matin