yahan kanp jate hain falsafe ye baDa ajib maqam hai
jise apna apna KHuda kahen use sajda karna haram hai
meri be-ruKHi se na ho KHafa mere naseha mujhe ye bata
jo nazar se pita hun main yahan wo sharab kaise haram hai
jo patinga lau pe fida hua to taDap ke shama ne ye kaha
ise mere dard se kya gharaz ye to raushni ka ghulam hai
shab-e-intizar mein bar-ha mujhe 'anwar' aisa guman hua
jise maut kahta hai ye jahan wo kisi ke wade ka nam hai
Ghazal
Yahan kanp jate hain falsafe ye baDa ajib maqam hai
Anwar Mirzapuri