yahan jaza-o-saza ka kuchh e'tibar nahin
fareb-e-hadd-e-nazar hai uruj-e-dar nahin
nigah-e-lutf mein gham ka mere shumar nahin
ye e'tibar ba-andaz-e-e'tibar nahin
sukun maut hi anjam-e-iztirab-e-firaq
jise qarar na aae wo be-qarar nahin
KHabar nahin ki khile kitne phul gulshan mein
ki aaj jaib-o-gareban mein ek tar nahin
KHuda ke nam pe dil ko sipurd-e-ishq kiya
ab is ke baad umid-e-maal-e-kar nahin
do aatisha na sahi dard hi sahi saqi
jo un mein farq kare kuchh wo baada-KHwar nahin
ab us ko aa ke bujhae koi to hum jaanen
ye dagh-e-dil hai charagh-e-sar-e-mazar nahin
rahin-e-aish hai KHu-karda-e-tamanna hai
wo baada-KHwar jo sar-gashta-e-KHumar nahin
zamana ghum raha hai meri nigahon mein
mujhe qarar nahin to kahin qarar nahin
na ja na ja kabhi us gulshan-e-tarab mein na ja
junun ka nam jahan mausam-e-bahaar nahin
zamana meri tabahi pe jaan de deta
main KHud hi apni tabahi ka sogwar nahin
karishma-shazi-e-nairang-e-husn kya kahiye
hazaron ahd hain aur koi ustuwar nahin
shab-e-firaq mein andaz-e-hashr hai 'shaukat'
ab is ke baad qayamat ka intizar nahin
Ghazal
Yahan jaza-o-saza ka kuchh etibar nahin
Shaukat Thanvi