اردو हिंदी
Yahan hawa ke siwa raat bhar na tha koi | Shaahi Shayari
yahan hawa ke siwa raat bhar na tha koi

Ghazal

Yahan hawa ke siwa raat bhar na tha koi

Nusrat Mehdi

;

yahan hawa ke siwa raat bhar na tha koi
mujhe laga tha koi hai magar na tha koi

thi ek bhiD magar ham-safar na tha koi
safar ke waqt judai ka Dar na tha koi

wo raushni ki kiran aai aur chali bhi gai
khula hua meri basti ka dar na tha koi

bas ek bar wo bhula tha ghar ka darwaza
phir us ke jaisa yahan dar-ba-dar na tha koi

jhulas ke rah gae aangan mein dhup se paude
ki saya-dar purana shajar na tha koi

ye aur baat raha be-niyaz mahfil mein
yun mere haal se wo be-KHabar na tha koi