yahan daraKHt the saya tha kuchh dinon pahle
ajib KHwab sa dekha tha kuchh dinon pahle
ye kya hua ki ab apna bhi eatibar nahin
hamein to sab ka bharosa tha kuchh dinon pahle
hamare KHun rag-e-jaan ki lala-kari se
jo aaj bagh hai sahra tha kuchh dinon pahle
usi ufuq se naya aaftab ubhrega
jahan charagh jalaya tha kuchh dinon pahle
abhi qarib se guzra hai ajnabi ki tarah
wo ek shaKHs jo apna tha kuchh dinon pahle
jinhen darida-dahan kah ke honT site ho
unhen suKHan ka saliqa tha kuchh dinon pahle

Ghazal
Yahan daraKHt the saya tha kuchh dinon pahle
Saeeduzzamaan Abbasi