yahan alag se koi kab hisar mera hai
mujhe sameTe hue KHud ghubar mera hai
na chhin paega mujh se koi nuqush-e-KHayal
ye phul mere hain ye shaKH-sar mera hai
chalun to dhup ka baadal hun main KHud apni jagah
rukun to har shajar-e-saya-dar mera hai
paDhun to nama kisi ka hai chehra chehra mujhe
likhun to KHama haqiqat-nigar mera hai
jagah na de mujhe palkon pe kam nahin ye bhi
ki maujzan teri aankhon mein pyar mera hai
hisar bandh le mujh mein kaha udasi ne
koi na aae yahan ye hisar mera hai
na jaane kab se yahan muntazir tha main ai 'yas'
KHabar jab aai wahan intizar mera hai
Ghazal
Yahan alag se koi kab hisar mera hai
Noor Mohammad Yaas