yas-o-gham ranj-o-alam tanhaiyan ab ke baras 
meri qismat mein rahen nakaamiyan ab ke baras 
raushni suraj ki aankhon par hai manzar dhup hain 
lag rahi hain suraten parchhaiyan ab ke baras 
aaine mein dekh kar KHud ko na tum hona udas 
aainon mein paD gain hain jhaiyan ab ke baras 
dekhna hoga sitam ye bhi zaban-bandi ke baad 
kaT li jaengi sab ki ungliyan ab ke baras 
KHushk-sali to nahin hai shahr mein 'mahwar' magar 
abr kab barsaenge allah-miyan ab ke baras
        Ghazal
Yas-o-gham ranj-o-alam tanhaiyan ab ke baras
Mehwar Noori

