yas ki manzil mein tanhai thi aur kuchh bhi nahin
jurat-e-parwaz sharmai thi aur kuchh bhi nahin
aaj maiKHane mein izn-e-am tha saqi tere
is liye duniya idhar aai thi aur kuchh bhi nahin
aaj meri kashti-e-tufan-shikan ne dosto
Dub jaane ki qasam khai thi aur kuchh bhi nahin
log jis ko nag-o-nagin ka fusun kahne lage
tum ne shayad zulf lahrai thi aur kuchh bhi nahin
nuh ki kashti salamat rah gai hum bach gae
zat-e-haq ki rahm-farmai thi aur kuchh bhi nahin
manzil-e-sabr-o-raza mein jab kabhi rakkha qadam
hath kanpe ruh tharrai thi aur kuchh bhi nahin
doston ko jab sunaya 'zabt' ne apna kalam
ek sada-e-marhaba aai thi aur kuchh bhi nahin
Ghazal
Yas ki manzil mein tanhai thi aur kuchh bhi nahin
Shiv Charan Das Goyal Zabt