yas ki kohr mein lipTa hua chehra dekha
jism ka ek bigaDta hua KHaka dekha
apni surat bhi na pahchan saki aankh meri
muddaton baad jo main ne kabhi shisha dekha
shahr-e-pur-haul mein ab ke ye ajab manzar tha
sang kushada tha magar sang ko basta dekha
main bhi gum-sum tha koi baat na karne paya
us ke honTon pe bhi jaise koi pahra dekha
tera qurb ek tamanna so tamanna hi rahi
hasil-e-umr yahi hai tera rasta dekha
kya ajab rakh se paida ho koi qasr-e-azim
hum ne aatish mein bhi gulzar ka naqsha dekha
main hi ghamgin nahin tark-e-talluq pe 'kamal'
wo bhi nashad tha us ko bhi fasurda dekha
Ghazal
Yas ki kohr mein lipTa hua chehra dekha
Bagh Husain Kamal