اردو हिंदी
Yaron ko kya DhunD rahe ho waqt ki aankh-micholi mein | Shaahi Shayari
yaron ko kya DhunD rahe ho waqt ki aankh-micholi mein

Ghazal

Yaron ko kya DhunD rahe ho waqt ki aankh-micholi mein

Farooq Anjum

;

yaron ko kya DhunD rahe ho waqt ki aankh-micholi mein
shahar mein wo to baTe hue hain apni apni Toli mein

shahon jaisa kuchh bhi nahin hai gumbad taq na mehraben
taj-mahal ka aks na DhunDo meri shikasta kholi mein

Dhalte Dhalte suraj ne bhi hum par ye ehsan kiya
chand sitare Dal diye hain raat ki KHali jholi mein

'mira-ji' ke dohe gao ya ki 'mir' ke sher paDho
dard ke qisse sab ne likhe hain apni apni boli mein

atlas aur kamKHwab ki raunaq is mein kahan se paoge
meri ghazal to baiThi hui hai aaj ghamon ki Doli mein