اردو हिंदी
Yaron ki humse dil-shikani ho sake kahan | Shaahi Shayari
yaron ki humse dil-shikani ho sake kahan

Ghazal

Yaron ki humse dil-shikani ho sake kahan

Imam Bakhsh Nasikh

;

yaron ki hum se dil-shikani ho sake kahan
yan pas hai na KHatir-e-aghyar toDiye

hum jaur-e-chashm-e-yar se dam marte nahin
yani rawa hai kab dil-e-bimar toDiye

yan dard-e-sar KHumar se hai wan dukan band
Takra ke sar ko ab dar-e-KHummar toDiye

Takraun wan jo sar to wo kahta hai kya mujhe
sahab na mujh gharib ki diwar toDiye

dam toDna hai furqat-e-jaanan mein apna kaam
kuchh kohkan nahin hain jo kohsar toDiye

'nasiKH' ba-qaul-e-afsah-e-hindostan kabhi
zahid ka dil na KHana-e-KHummar toDiye