اردو हिंदी
Yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango | Shaahi Shayari
yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango

Ghazal

Yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango

Qateel Shifai

;

yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango
apne hi gale ke liye talwar na mango

gir jaoge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango

khul jaega is tarah nigahon ka bharam bhi
kanTon se kabhi phul ki mahkar na mango

sach baat pe milta hai sada zahr ka piyala
jina hai to phir jine ka izhaar na mango

us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai
sahra mein kabhi saya-e-diwar na mango