yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main
do mujh ko bad-dua ki use bhul jaun main
dil to jala kiya hai wo shoala sa aadmi
ab kis ko chhu ke hath bhi apna jalaun main
sunta hun ab kisi se wafa kar raha hai wo
ai zindagi KHushi se kahin mar na jaun main
ek shab bhi wasl ki na mera sath de saki
ahd-e-firaq aa ki tujhe aazmaun main
badnam mere qatl se tanha tu hi na ho
la apni mohr bhi sar-e-mahzar lagaun main
utra hai baam se koi ilham ki tarah
ji chahta hai sari zamin ko sajaun main
us jaisa nam rakh ke agar aae maut bhi
hans kar use 'qatil' gale se lagaun main
Ghazal
Yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main
Qateel Shifai