yaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jao 
pyaro phir fasl-e-bahaaran hai qarib aa jao 
dur ho kar bhi sunin tum ne hikayat-e-wafa 
qurb mein bhi wahi unwan hai qarib aa jao 
hum mohabbat ke musafir hain kahin dekh na len 
dhat mein gardish-e-dauran hai qarib aa jao 
jaan pyari hai ki tum bhi ho meri jaan ke sath 
gham-e-jaan hi gham-e-jaanan hai qarib aa jao 
aaj duniya ko nahin apne ghamon se fursat 
aaj mil baiThna aasan hai qarib aa jao 
kis murawwat pe zamane se Daren dur rahen 
aao allah nigahban hai qarib aa jao 
mere hi pahlu-e-sozan mein sakun mumkin hai 
chaar-su gardish-e-dauran hai qarib aa jao 
jao ab jao ki wo ahd-e-wafa KHatm hua 
jab bhi dekho ki phir imkan hai qarib aa jao 
main zamane ki kaDi dhup ka mara hun 'zafar' 
tum kahan ho chamanistan hai qarib aa jao
        Ghazal
Yaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jao
Yusuf Zafar

