اردو हिंदी
Yarab sarab-e-ahal-e-hawas se najat de | Shaahi Shayari
yarab sarab-e-ahal-e-hawas se najat de

Ghazal

Yarab sarab-e-ahal-e-hawas se najat de

Sirajuddin Zafar

;

yarab sarab-e-ahal-e-hawas se najat de
mujh ko sharab de unhen aab-e-hayat de

aa hum bhi raqs-e-shauq karen raqs-e-mul ke sath
ai gardish-e-zaman mere hathon mein hat de

apna subu bhi aaina-e-jam se kam nahin
rakhen jo ru-ba-ru KHabr-e-shash-jihat de

ai dast-e-raaz markab-e-dauran hai sust-rau
la mere hath mein rasan-e-kaenat de

kuchh to khule ki kya hai pas-e-parda-e-hayat
koi pata to aaina-e-husn-e-zat de

ai dost is zaman-o-makan ke azab mein
dushman hai jo kisi ko dua-e-hayat de

uTh rahguzar se ai dar-e-mai-KHana ke gada
masnad pe baiTh faisla-e-kaenat de

is mauja-e-surur ki hai aarzu 'zafar'
jo taba ko rawani-e-nil-o-faraat de