اردو हिंदी
Yarab jo Khaar-e-gham hain jala de unhon ke tain | Shaahi Shayari
yarab jo Khaar-e-gham hain jala de unhon ke tain

Ghazal

Yarab jo Khaar-e-gham hain jala de unhon ke tain

Meer Mohammadi Bedar

;

yarab jo KHar-e-gham hain jala de unhon ke tain
jo ghuncha-e-tarab hain khila de unhon ke tain

inkar-e-hashr jin ko hai ai sarw-e-KHush-KHiram
yak bar apne qad ko dikha de unhon ke tain

kahte hain abru-o-mizha KHun-rez hain teri
zalim kabhi hamein bhi bata de unhon ke tain

us shama-ru ka mujh se jo karte hain sard dil
ai aah-e-soz-nak jala de unhon ke tain

sozan hai dagh-e-hijr mere dil mein misl-e-shama
ai yaad-e-wasl-e-yar bujha de unhon ke tain

karte hain sar-kashi jo kaf-e-pa se aable
ai KHar-e-dasht-e-ishq biTha de unhon ke tain

jo saf-o-be-ghubar hain 'bedar' aashna
jun surma apni chashm mein ja de unhon ke tain