yarab dil-o-nazar pe musallat kabhi na ho
wo be-KHudi ki jis mein shuur-e-KHudi na ho
itna na dur jao had-e-iKHtilaf se
mumkin hai phir wahan se kabhi wapsi na ho
dil mein KHulus ho to ho ek mustaqil KHulus
wo kya KHulus hai jo kabhi ho kabhi na ho
tark-e-talluqat ki ek shart ye bhi thi
dil TuT jae aur koi aawaz bhi na ho
ji chahta hai phulon se kuchh guftugu karun
phir sochta hun baad-e-saba dekhti na ho
'gauhar' dil-o-nigah mein ek fasl to rahe
lekin dil-o-nazar ka tasadum kabhi na ho
Ghazal
Yarab dil-o-nazar pe musallat kabhi na ho
Gauhar Usmani