yar uTh gae duniya se aghyar ki bari hai
gul sair-e-chaman kar gae ab KHar ki bari hai
zahid ne ibaadat chhoD us zulf se uljha hai
tasbih ki shaiKHi gai zunnar ki bari hai
us kakul-e-mushkin ki bu hui hai pareshan aa
sab shahr-e-KHutan luT gae tatar ki bari hai
gulshan mein KHiraman ho ab burqa uThaya hai
sab gir gaya sarwistan gulzar ki bari hai
kar zaKHmi nigahon se ab dil pe uThaya hath
nezon ki gai naubat tarwar ki bari hai
dil par hain jahan ke sab baham ki kudurat se
aainon ki safi gai zangar ki bari hai
jhaD gae wo tabassum se gul ghunche khaDe hain sarw
tamkin ne chaman luTa raftar ki bari hai
un zulfon ke aqrab ne dil mera Dasa 'uzlat'
pichhe paDi hai choTi ab mar ki bari hai
Ghazal
Yar uTh gae duniya se aghyar ki bari hai
Wali Uzlat