yar se ab ke gar milun 'taban'
to phir us se juda na hun 'taban'
ya bhare ab ke us se dil mera
ishq ka nam phir na lun 'taban'
mujh se bimar hai mera zalim
ye sitam kis tarah sahun 'taban'
aaj aaya hai yar ghar mere
ye KHushi kis se main kahun 'taban'
main to bezar us se hun lekin
dil ke hathon se kya karun 'taban'
wo to sunta nahin kisi ki baat
us se main haal kya kahun 'taban'
baad muddat ke mah-ru aaya
kyun na us ke gale lagun 'taban'
Ghazal
Yar se ab ke gar milun taban
Taban Abdul Hai