yar pahlu mein nihan tha mujhe malum na tha
tar-e-gesu rag-e-jaan tha mujhe malum na tha
dil mein wo ghuncha-dahan tha mujhe malum na tha
gul shagufa mein nihan tha mujhe malum na tha
wo hi nur-e-do-jahan tha mujhe malum na tha
wahi yan tha wahi wan tha mujhe malum na tha
dil mera kaba-e-jaan tha mujhe malum na tha
nala gulbang-e-azan tha mujhe malum na tha
aankh par Dal diya dair-o-haram ka parda
wahi donon mein nihan tha mujhe malum na tha
sifat-e-nur-e-basarat wo mera parda-nashin
mere parde se ayan tha mujhe malum na tha
husn-e-surat ne diya jalwa-e-mani ka pata
but na tha sang-e-nishan tha mujhe malum na tha
jaanib-e-kaba-e-maqsud tan-e-zar mera
rawish-e-reg-e-rawan tha mujhe malum na tha
be-KHabar paDhne laga 'momin'-o-'ghaalib' ka kalam
kunj-e-KHalwat mein 'bayan' tha mujhe malum na tha
Ghazal
Yar pahlu mein nihan tha mujhe malum na tha
Bayan Meeruti