yar ne is dil-e-nachiz ko behtar jaana
dagh ko phul to qatre ko samundar jaana
kaT gae dekhte hi hum to teri chashm-e-ghazab
jumbish-e-abru-e-KHamdar ko KHanjar jaana
sach hai yaksan hai adam aur wajud-e-duniya
aise hone ko na hone ke barabar jaana
aankh hum baada-kashon se na mila ai jamshed
apne chullu ko tere jam se baDh kar jaana
kab zamane mein hai mohtaj-e-makan KHana-KHarab
ho gai dil mein kisi ke jo jagah ghar jaana
samjhe 'jauhar' ko bura us ki shikayat kya hai
wahi achchha hai jise aap ne behtar jaana
Ghazal
Yar ne is dil-e-nachiz ko behtar jaana
Lala Madhav Ram Jauhar