اردو हिंदी
Yar mera miyan-e-gulshan hai | Shaahi Shayari
yar mera miyan-e-gulshan hai

Ghazal

Yar mera miyan-e-gulshan hai

Faez Dehlvi

;

yar mera miyan-e-gulshan hai
gharq-e-KHun phul ta-ba-daman hai

dil lubhata hai sab ka wo sajan
dil-farebi mein us ko kya fan hai

tare jiyun dar hai jis ke halqa-ba-gosh
wo bina gosh subh-e-raushan hai

us nazare se sab shahid hue
wo nayan kya bala-e-rah-zan hai

kya bayan kar sakun main gat us ki
'faez' at KHush-ada sirijan hai