yar mera bahut hai yar-fareb 
makr hai ahd sab qarar-fareb 
rah rakhte hain us ke dam se said 
hai bala koi wo shikar-fareb 
ohde se niklen kis tarah aashiq 
ek ada us ki hai hazar-fareb 
iltifat-e-zamana par mat ja 
'mir' deta hai rozgar-fareb
        Ghazal
Yar mera bahut hai yar-fareb
Mir Taqi Mir

