yar ko raghbat-e-aghyar na hone pae
gul-e-tar ko hawas-e-KHar na hone pae
us mein dar-parda samajhte hain wo apna hi gila
shikwa-e-charKH bhi zinhaar na hone pae
fitna-e-hashr jo aana to dabe panw zara
baKHt-e-KHufta mera bedar na hone pae
hae dil khol ke kuchh kah na sake soz-e-darun
aable ham-suKHan-e-KHar na hone pae
bagh ki sair ko jate to ho par yaad rahe
sabza begana hai do-chaar na hone pae
jama kar lijiye ghamzon ko magar KHubi-e-bazm
bas wahin tak hai ki bazar na hone pae
aap jate to hain is bazm mein lekin 'shibli'
haal-e-dil dekhiye izhaar na hone pae
Ghazal
Yar ko raghbat-e-aghyar na hone pae
Shibli Nomani