yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya
KHak par sang-e-dar-e-yar ne sone na diya
dhup mein saya-e-diwar ne sone na diya
sham se wasl ki shab aankh na jhapki ta-subh
shadi-e-daulat-e-didar ne sone na diya
ek shab bulbul-e-betab ke jage na nasib
pahlu-e-gul mein kabhi KHar ne sone na diya
jab lagi aankh karaha ye ki bad-KHwab kiya
nind bhar kar dil-e-bimar ne sone na diya
dard-e-sar sham se us zulf ke saude mein raha
subh tak mujh ko shab-e-tar ne sone na diya
raat bhar kin dil-e-betab ne baaten mujh se
ranj o mehnat ke giraftar ne sone na diya
sail-e-girya se meri nind uDi mardum ki
fikr-e-baam-o-dar-o-diwar ne sone na diya
bagh-e-alam mein rahin KHwab ki mushtaq aankhen
garmi-e-atish-e-gulzar ne sone na diya
sach hai gham-KHwari-e-bimar azab-e-jaan hai
ta-dam-e-marg dil-e-zar ne sone na diya
takiya tak pahlu mein us gul ne na rakkha 'atish'
ghair ko sath kabhi yar ne sone na diya
Ghazal
Yar ko maine mujhe yar ne sone na diya
Haidar Ali Aatish