yar ko mahrum-e-tamasha kiya
marg-e-mufajat ne ye kya kiya
aap jo hanste rahe shab bazm mein
jaan ko dushman ki main roya kiya
arz-e-tamanna se raha be-qarar
shab wo mujhe main use chheDa kiya
sard hua dil wo hai ghairon se garm
shole ne ulTa mujhe ThanDa kiya
mehr-e-qamar ka hai ab un ko guman
aah-e-falak-sair ne ye kya kiya
un ko mohabbat hi mein shak paD gaya
Dar se jo shikwa na adu ka kiya
dekhiye ab kaun mile KHak mein
yar ne gardun se kuchh ima kiya
hasrat-e-aghosh hai kyun ham-kanar
ghair se kab us ne kinara kiya
chashm-e-inayat se bachi jaan mujhe
nargis-e-bimar ne achchha kiya
ghair hi ko chahenge ab 'shefta'
kuchh to hai jo yar ne aisa kiya

Ghazal
Yar ko mahrum-e-tamasha kiya
Shefta Mustafa Khan