yar ko hum ne barmala dekha
aashkara kahin chhupa dekha
lan-tarani kaha khula dekha
kunto-kanaran kaha chhupa dekha
kahin KHaliq hua kahin maKHluq
kahin banda kahin KHuda dekha
bagh mein hai wo har jagah maujud
kahin ghuncha kahin saba dekha
kahin aabid hai wo kahin mabud
gah maabid mein jabha-sa dekha
kahin laila bana kahin majnun
kahin mahbub-e-KHush-ada dekha
kahin aashiq bana kahin mashuq
kahin in donon se jala dekha
kahin KHurshid mein munawwar hai
kahin mahtab mein ziya dekha
nazar aaya wo mai-kade mein mast
kahin masjid mein parsa dekha
kahin na-ashna hai aashiq se
kahin aalam se aashna dekha
kahin banta hai aashiq-e-betab
kahin KHuban ka peshwa dekha
kahin aashiq-sifat diya hai dil
kahin mashuq-e-dil-ruba dekha
kahin bulbul bana kahin qumri
gah gul o sarw-e-KHushnuma dekha
gah munazzah hai yar wahdat mein
gah kasrat mein ja-ba-ja dekha
gah mumkin hai gah hai la-shai
yar ka majra naya dekha
jalwa us ka hai har taraf raushan
apne jalwe pe KHud fida dekha
aql hairan ho gai 'bahram'
ye tamasha jo yar ka dekha
Ghazal
Yar ko humne barmala dekha
Bahram ji