yar ko bebaki mein apna sa hum ne kar liya
yani us ne Thokaron mein sar hamara dhar liya
ishq-e-ruswa ne di afzuni hijab-e-husn ko
jo uTha parda yahan se us ne wan munh par liya
is ko mai-KHwari nahin kahte hain KHun-KHwari hai ye
mere dil se li gazak aur ghair se saghar liya
nam ko dil mein jagah chhoDi na dagh-e-ishq ne
ek mehman aisa aaya jis ne sara ghar liya
zauq dekho mujh se said-e-na-tawan ke waste
tegh li ek hath mein ek hath mein KHanjar liya
main sitara-soKHta wo hun ki jis ka zaicha
us ghaDi khincha gaya jab dagh ka aKHtar liya
chashm-o-dil rakkho ho yaro jaw Tuk dekho use
mujh se kya kahte ho us ne dil tera kyun-kar liya
ai 'raza' rah mein KHizr ki mat rah dekh
ghar ke jaane mein kisi ne bhi bhala rahbar liya
Ghazal
Yar ko bebaki mein apna sa humne kar liya
Raza Azimabadi

