yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja
mukh munawwar dekh us ka rang-e-gulshan bhul ja
chaDh ke tazi ishq ka nit 'man-araf' ka sair kar
'qad-araf' ka pahunch ai dil mahl-o-maskan bhul ja
tark de islam ko aur kufr sara dur kar
chhoD de hirs-o-hawa farzand aur zan bhul ja
aarsi mein dil ke har dam dekh mukhDa ruh ka
jam ko jamshed ke aur fikr-e-darpan bhul ja
dam-ba-dam dil ke nazar sun pi ke darsan ka sharab
ai 'alimullah' jahan ke makr aur fan bhul ja
Ghazal
Yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja
Alimullah