yar kab dil ki jarahat pe nazar karta hai
kaun is kuche mein juz tere guzar karta hai
ab to kar le nigah-e-lutf ki ho tosha-e-rah
ki koi dam mein ye bimar safar karta hai
apni hairani ko hum arz karen kis munh se
kab wo aaine pe maghrur nazar karta hai
umr fariyaad mein barbaad gai kuchh na hua
nala mashhur ghalat hai ki asar karta hai
yar ki baat hamein kaun sunata hai 'yaqin'
kaun kab gul ki diwanon ko KHabar karta hai
Ghazal
Yar kab dil ki jarahat pe nazar karta hai
Yaqeen Inamullah Khan