اردو हिंदी
Yar ka wasl-e-shaba-shab na hua tha so hua | Shaahi Shayari
yar ka wasl-e-shaba-shab na hua tha so hua

Ghazal

Yar ka wasl-e-shaba-shab na hua tha so hua

nayan sukh

;

yar ka wasl-e-shaba-shab na hua tha so hua
saghar ishq-e-laba-lab na hua tha so hua

le chuka dil ko wo mujh hath se tab main ne kaha
is qadar tera matalib na hua tha so hua

jaur aur zulm se duniya mein ye KHuban ka ism
bewafai ka mulaqqab na hua tha so hua

karna tasKHir har ek dil ko do ek baaton mein
is tarah ka bhi ajaib na hua tha so hua

rose lagta hai tere kan se ja ja ke raqib
kasu ka itna maraatib na hua tha so hua

ghairon ki bar mein tere ab to ye kuchh kasrat hai
yani har koi musahib na hua tha so hua

mehr ustad ki se dekho to is 'nain' ke tain
sher kahne ka kabhi Dhab na hua tha so hua